|
Yunus Butt ki nazar main (Funny lines)
Yunus Butt ki nazar main (Funny lines)
--------------------------------------------------------------------------------
*Khawand khud ko majazi khuda samajhta hai issi liay
bivi us ki khatar din raat bhi aik kar day woh
phir bhi shukriya naheen kehta
Kyun k
Khuda chahey majazi hi kyun na ho woh yeh lafz naheen keh sakta.
*Bach'chay palney aur khawand palney main yeh farq hai
KEH
Bach'chon ko samjhana mushkal hai aur khawand ko samajhna.
*Bach'chay bahar jain to un k bhoolnay ka itna dar
naheen hota jitna khawand ka.
*Khawand chahta hai keh us ki bivi woh na karey
jo woh chahta hai keh humsaey ki bivi karey.
*Ghar main bivi ka ziada waqt furniture aur khawand ko jhadney
poonchney aur unhain un k asli maqam per rakhney main guzarta hai.
*Jis khawand ko us ki bivi azeem kehey
yaqeen kar lain us ka naam Azeem ho gha.
|